Sunday, February 6, 2011

Main na jaanu Ki Kaun Hoon Main,





Main na jaanu Ki Kaun Hoon Main,
Log Kehte hai sabse Jhuda hoon main,


Maine Toh Pyaar sabse Kiya,
Par na jane Kitno Ne dhooka diya,


Chalte Chalte Kitne Hi Acche Mile,
Jinhe bahut pyaar Diya,
Par Kuch Log Samaj Na sake,
Phir bhi Maine bas pyaar kiya,


Dosto ki khusi se hi khusi hai,
Tere gam se hum dukhi hai,
Tum haso toh khush Ho jaunga,
Tere aankh me aansu ho toh manaunga,


Mere sapne bahut bade hai,
Par akele hai hum,akele hai,
Phir Bhi chalta Rahunga,
Manjil ko paakar Rahunga,


Yeh duniya badal jaaye kitni bhi,
Par mein na badloonga,
Jo badal gayae woh Dost the mere,
Par koi na paas Hai mere,


Pyaar Hota toh kya baat hoti,
Koi toh hogi Kahi na kahi,
Shayad Tumse acchi Yaha Koi nahi,
Nahi is duniya me tumhare jaisi,


Aasmaan ko Dekha hai maine,
Mujhe jaana waha hai,
Zameen par chalna Nahi,
Mujhe Jana waha hai,
Pata hai gir kar tut jaunga,
Phir uthne ka vishvas hai,
Main alag bankar dikhlaunga,


Pata nahi Yeh raste Le jaaye kaha,
Na jaane Khatm ho jaaye Kis pal kaha,
Phir bhi tum sab ke Dilo me Zinda Rahunga,
Yaado Me sabki Yaad aata Rahunga......

No comments:

Post a Comment